Thursday, June 3, 2010

Kyaa Baat hai

Kitabo ke panno ko palat ke sochta hu,
Yu hi palat jae meri zindagi to kya baat hai...
Khwabo me roz milte hain jo,
Aaj Haqiqat me aye to kya baat hai...
Kuch matlab ke lie dhundte hai mujhe,
Bin matlab koi aye to kya baat hai...
Katal karke toh sab le jaenge dil mera,
Koi baato se le jae to kya baat hai...
Jo sharifo ki sharafat me baat na ho,
Agar ek sharabi keh jae to kya baat hai...
Apne zinda rehne tak to khushi dunga sabko,
Jo kisi ko meri maut khushi de jae toh kya baat hai!
sar sadke mein jhukata hun roz main apnaa....
aaj khud hi aapke saamne jhuk jaaye toh kya baat hai!!!!
meri tammanna hai unse char lavz kehne kii..........
woh aankho mein hi samajh jaaye toh kya baat hai!!!!
zindagi toh haste haste aapka ..........
saath mil jaaye toh kya baat hai!
mere andaaz mein nhi hai chup rehna,
saamne aap ho aur honth sil jaaye toh kya baat hai!!!



------------> Thanks to preeti she really helped in this :)

4 comments:

  1. Kya baat hai...
    ...Kya baat hai,
    is chand alfaazoo mein,
    chipey huye tamaam dilo key zazbaat hai,
    kaash in alfaazoo kii tarah,
    tum bhi merey saath hotey toh
    KEHTA MAI BHI kya baat hai...kya baat hai,

    hum saath theey,
    hum saath rehtey toh
    KEHTA MAI BHI kya baat hai...kya baat hai,

    yeh doorie ka mazak naa hota,
    yeh dil mein zhupa koi zazbaat na hota toh
    KEHTA MAI BHI kya baat hai...kya baat hai,

    saath bhaith kar kahi
    kar rahe hotey koi BAKAR toh
    KEHTA MAI BHI kya baat hai...kya baat hai,

    iss shabdo ko yun likhney beyzaa
    hum kahin saath gungunaa rahey hotey toh
    KEHTA MAI BHI kya baat hai...kya baat hai.....
    ....kya baat hai....dost

    ReplyDelete
  2. nyc really very nyc : namita

    ReplyDelete