Thursday, April 8, 2010

Bakar

Haan yaad hai mujhe
jab hum mile the uss ped ke neeche
dosti toh door ki baat gaali dete the muh pe
Chutiya bulaaya kabhi gaandu se taareef ki teri
gaali toh naam ka hissa ban gyi thi apni
par aaj jab hum door hain
raahein alag thaame
yaad aata hai woh pal jaan-e anjaane
bakar karne ke liye bande ho kam
kya kahoge isse aaye dost..............Yahi milenge HUM

baat tab ki bhi yaad ahi
harijan mkt mein patte lene ka safar
naye the dono ek doosre ke liye
but thami nhiii thiii na teri na Hi meri BAKAR
samajh mein aa chuka tha tere dimaag ka keeda
frequancy bhi tuned same thii apni
ho chahe bilkul alag nature tera
but tasveer toh FRAME thii apni( bhagwaan hai na teesra dost apna)
ab u going the way jahan mera aana aasan nhiii
Fir Ilzaam na dena ke bhai karan BAKAR kyon thamii

tu lambu kaise door reh sakta hai
characteristic toh bilkul ohm's law ki tarah idle hain tere
agar kal hi chaye toh
kisi ka dulha ban sakta hai
bolta tu kam tha
But jab bhi bola AAWAz mein mast doegar jitta dum tha
ek hi pankti kaafi hoti
doosre ki bajaane ko
har jagah faadu saath diya toone
bechari commited ko rasta dikhaane ko
Main kehta hun abhi bhi LOVE GURU ka taaj pehen ne ka karo kusooor
fir mat kehnaaa ki BAKAR hi karoge ya kabhi sach bhi kahoge huzoor

haan toone hi kaha tha ki jwaalamukhi mein fat ti hogi kisi kee
jab is shabd ke janamdaata charamseema tak bajaate honge bandar ya saintees ki
saale kat liya tu mallu pradesh mein akele
ban na tha electronics mein EINSTEIN
n raah pe chal pade Bill GAtes ke chele
Koi na mere dost BHarosa hai
tu legacy maintain karega apni
dekh kam toh hone se rhi par threshold bakar ki hai POORI garentee

Khaane ke mamle mein humsa na tha koi
dilli ka chappa chappa na bacha saka koi
NFC ke shwarme ho ya kareem ka burra
hila ke rakh di har kisi ki rasoi
Thums up woh bhi chilled peete the hum
andaaz apna apna aur GOGO ke sahare jeete the hum
CID ne bhi bakar mein diyaa poorn yogdaan
mil kar kia rancho ko pareshaan
jab lega uska puttar humaari jaan tab bhi yahi kahenge
" HUMARI BAKAR MAHAAN"

rancho teko yaha mention kare bina kaise jee sakta hun
jitti laal teri humne kii uska kuch hissa isse see sakta hun
Abu ke den tha tera naya andaaz
baat ka ata pta na bhi ho
par bolna toh banta hai bosss
maths ko kehta tha fav but funde clear nhi the iske
pta nhi tha kya karna chahta tha
hamesha Gote khajoor mein latke rehte
in mahashye ne kii nayi bulandion kii pehchaan
5 circle waali audi inki rahegii sada hi SHAAN
HAIL wanar raaj Hail
aap toh choti pe latke sitaare rahe
humara aisa naseeb kahan ki hum wahan pahunche
COS sena se susajjit aap HI BAKAR KE SABSE BADE SHIKAAR hi rhe

kuch aakhri panktion se jinka zikr nhi kar saka unko salaam karta hun
GAUR JHAANTU CHINTA aur paula
tumlogo ke bina tha BAKAR ka naa hosakta tha yeh JHOLA
Oye keh kar class kii maari toone
manu ke faan saale kabhi padhai kii toone
mazdoor toh ek mazaak tha par chinta ke rekhaayein kyon hai
Pj toh faadu the par banda SINGLE kyon hai
in sab swaalo ki potli band hui cllg ke darwaaze ke sath
pta nhiii kab mile ab hum saare ek jagah
n kab hoga BAKAR KA YEH CARWAAN PARAMARTH

Sorry to those who do not know HINDI.....
karan khullar

No comments:

Post a Comment