Wednesday, April 14, 2010

Maa


Maa meri tu kab samjhegi
Haalat jo ab meri hai
samay mera kaate nahi kat ta
kismat aisee le rhi hai
upar se khush hun main bahut
andar aandhi ghaneri hai
maa meri tu kab samjhegi
haalat jo ab meri hai

Dost chhoota apna jo pucca.....
pucca yaar kabhi hota tha
usko bhi peechhe chhod
aage main har dum chalta raha
chehre par shayad kabhi naa aaye
aisee tarqeeb maine kheli hai
maa meri tu kab samjhegi
haalat jo ab meri hai


Haan aalas ke chakkar mein maine
samay bahut barbaad kiya
kar sakta tha kuch achha fir bhii
usko bahut naaraz kiya
seekh chuka hun ab iska mulya
ab na kisi baat ki deri hai
maa meri tu kab samjhegi
haalat jo ab meri hai....


iska mother's point of view will ryt in short tym
Hope u like this

No comments:

Post a Comment